Thursday, May 31, 2012

Tera Chhor Ke Jaana Yaad Ayaa

Koi Waqt Purana Yaad Aya
Koi Dost Suhaana Yaad Aya

Or Chalk Se Dewaaron Pe
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aya

Tera Milna Neem Ki Chhaon Me
Or Sar Rakh Dena Kaandhe Pe

Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le
Tera Wo Ghabrana Yaad Ayaa

Kabhi Aisa Bhi To Hota Tha
Mai Tujh Ko Chhorne Jaata Tha

Jab Wapas Aane Lagta Tha
Tera Haath Hilana Yaad Aya

Wo Waqt Gaya Lamhay Betey
Ab Har Jaanib Tanhaai Hai

Ab Aik Hai Manzar Aankhon Mei
Tera Chhor Ke Jaana Yaad Aya

TERA CHHOR KE JAANA YAAD AYAA


Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayaal Aata Hai


Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayaal Aata Hai
Ke Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaon Me
Guzarne Paati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi

Ye Ranj o Gham Ki Siyaahi Jo Dil Me Chaai Hai
Teri Nazar Ki Shoaaon Me Kho Bhi Sakti Thi
Magar Ye Ho Na Saka..~!

Magar Ye Ho Na Saka or Ab Ye Aalam Hai
Ke Tu Nhi, Tera Gham, Teri Justujoo Bhi Nhin
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarha Zindagi Jaise

Isey Kisi Ke Sahaare Ki Aarzoo Hi Nhin
Na Koi Raah, Na Manzil, Na Roshni Ka Sorakh
Bhatak Rahi Hai Andheron Me Zindagi Meri

Inhi Andheron Me Reh Jaaonga Kabhi Kho Kar
Mai Jaanta Hoon Meri Hum Nafas
Magar Yoonhi!

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayaal Aata Hai!



Kuch Nishan Umer Ki Raftaar Se Lag Jaate Han


Rogg Aisey Bhi Gham e Yaar Se Lag Jaate Han
Darr Se Uth'tey Han To Dewaar Se Lag Jaate Han

Be Basi Bhi Kabhi Qurbat Ka Sabab Banti Hai
Ro Na Paayen To Galey Yaar Ke Lag Jaate Han

Daagh Daman Ke Hon Dil Ke Ya Chehre Ke Mohsin
Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Se Lag Jaate Han



Friday, May 25, 2012

Ashk Bahane Ki Ijaazat Di Jaaye......!


Paaon Ke Zakhm Dikhaane Ki Ijaazat Di Jaaye
Warna RahGeer Ko Jaane Ki Ijaazat Di Jaaye

Kuch Madawa Hi Nahi Gham Ke Ilawa Gham Ka
Zehr Me Zehr Milaane Ki Ijaazat Di Jaaye

Doghle Pan Ka Hunar Seekh Lia Hai Mai Ne
Ab Mujhe Shehr Me Aane Ki Ijaazat Di Jaaye

Kaar e Dunia Mujhe Majnoo Nahi Banna Lekin
Ishq Me Naam Kamane Ki Ijaazat Di Jaaye

Is Qadar Zabt Meri Jaan Bhi Le Sakta Hai
Kam Se Kam Ashk Bahane Ki Ijaazat Di Jaaye


Wednesday, May 23, 2012

Mera Naam o Nishaan Yaad!

Roodaad e Qafas Yaad, Na Andaaz e Fughan Yaad
Jo Beet Gai, Beet Gai, Ab Wo Kahan Yaad

Tum Bhool Gae Hum Ko To Is Me Kya Taajjub
Is Daur Me Karta Hai Kise, Kaun Kahaan Yaad

Kafi Thi Tabaahi Ke Liye Gardish e Dauraan
Tum Aise Me Kiu Aaye Aey Jaan e Jahan Yaad

Apne Se Raqabat Ka Ye Aalam Hai Ke Tauba
Hum Bhool Gae Khud Ko, Wo Aye Han Jahan Yaad

Maazi Ke Dareeche Se Kabhi Jhaank Ke Dekho
SHAYAD Tumhe Ajae Mera Naam o Nishaan Yaad


Tuesday, May 22, 2012

Dil Chahe Tab Tum Baat Karo...!


Jab Saare Mujh Se Roothe Hon!
Jab Meri Aankhen Bheegi Hon!

Jab Koi Mera Saath Na Dey!
Dil Chahe Tab Tum Baat Karo!

Jab Sub Raaste Dhundley Hon!
Jab Kaale Badal Chhaye Hon!

Jab Koi Apna Haath Na Dey!
Dil Chahe Tab Tum Baat Karo!

Jab Jazbe Qarb Me Doobe Hon!
Jab Dard Ki Shiddat Barh Jaaye!

Jab Tanha Apni Zaat Lagey!
DIL CHAHE TAB TUM BAAT KARO!


Its a very beautiful Ghazal!