Saturday, July 28, 2012

Oonche Logon Ko!


Kab Wo Sunte Han Ke Hai Kon Duhaai Deta
Oonche Logon Ko Hai Ooncha Hi Sunaai Deta!

Posted in Urdu Poetry

Tum Logg Barey Logg Ho



Waise Hi Tum Ko Wehem Hai Ke Aflaak Nasheen Han
Tum Logg Barey Logg Ho Hum Khaak Nashin Han


Posted in SMS Urdu


Monday, June 18, 2012

Kisi Shaam Zara Zehmat Karna...!




Tum Ko Aata Hi Nahin Shikwa Shikayat Karna
Meri Maano, Tum Kisi Se Na Mohabbat Karna

Ab Ke Bikhra To Mushkil Se Sameto Ge Mujhe
Phir Na Aisi Koi Mujh Sey Shikayat Karna

Zulm Sehney Sey Halaat Na Badlen Ge Kabhi
Ab Zaruri Hai Ameer e Shehr Se Baghawat Karna

Zabaan Jo Khuli To Uljhen Ge Zamaney Waley
Chup Rehna Izhaar Ki Na Himmat Karna

Tum Ne Dekha Hai Mere Ghar Ki Udaasi Ko?
Ho Sakey To Kisi Shaam Zara Zehmat Karna!

Listed in Urdu Ghazal

Kabhi Jo Lamba Safar Hua To!



Wafa Ka Poda Shajar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga
Naseeb Unka Samar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga

Abhi To Phirtay Ho Doston Me, Aziz Koi Judaa Nahi Hai
Koi Idhar Se Udhar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga

Ye Kia Bichharna Ke Shaam Hotey Hi Apney Pyaaron Mei Lot Jana
Kabhai Jo Lamba Safar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga...!


Find All Posts Listed in Urdu Ghazals

Friday, June 15, 2012

Hyraan Hoon Ke Ye Konsa Dastoor e Wafa Hai


Hyraan Hoon Ke Ye Konsa Dastoor e Wafa Hai
Wo Misal e Rag o Jaan Hai To Kyun Mujh Se Juda Hai

Wo Ahl e Nazar To Nahi Un Ko Khabar Kiya!
Pehloo Mei Un Ke Koi Zamaney Se Khara Hai

Likha Hai Mera Naam Samandar Pe Hawa Ne
Aor Dono Ki Fitrat Me Sakoon Hai Na Wafa Hai

Uth'ti Hai Jo Pehloo Se Mere Dard Ki Lehrain
Be Taab Samandar Koi Seene Mei Daba Hai

Aey Zeest Ke Marhale Se Guzarte Huwe Lamho!
Socha Hai Kabhi Tum Ne Bichharna To Sazaa Hai


Aisa Ho Nahi Sakta!



Zamaney Mei Bhi Dhoondo Ge To Hum Sa Ho Nahi Sakta
Hum To Sada Usey Hi Chahte Han Jo Apna Ho Nahi Sakta


Bohot Ujra Hua Dil Hai Magar Apna To Aqeeda Hai
Ke Jahan Mehkein Teri Yaadein Wo Sehra Ho Nahi Sakta


Kisi Ki Yaad Ab Tak Mere Bistar Mei Soti Hai
Shab e Tanhaai Se Keh Do Ke Mai Tanha Ho Nahi Sakta


Kuchh To Apni Bhi Khataayen Thi Wabaal e Zindagi Mei
Sabhi Kuch To Muqaddar Ka Likha Ho Nahi Sakta


Juda Ho Gaye Or Dono Hi Jeete Han
Kabhi Dono Hi Kehtey They Ke Aisa Ho Nahi Sakta




Wednesday, June 13, 2012

Us Ko Bhool Jaaon Main!

Salook e Narawa Ka Iss Lye Shikwa Nahi Karta
Ke Mai Bhi To Kisi Ki Baat Ki Parwaa Nahi Karta


Bohot Chalaak Hun Apni Larai Aap Larta Hun
Mai Dil Ki Baat Kabhi Deewar Pe Likha Nahi Karta


Agar Parr Jaaye Aadat Apney Saath Rehney Ki
To Ye Aisa Saath Hai Ke Phir Kabhi Tanha Nahi Karta


Zameen Pairon Se Kitni Baar Hi Din Me Nikalti Hai
Mai Aisey Haadson Pe Dil Kabhi Chhota Nahi Karta


Uska Israar Aankhon Par Ke Us Ko Bhool Jaaon Main
Mai Koshish Kar Ke Dekhon Ga Magar Waada Nahi Karta!




Tuesday, June 5, 2012

Pucha Kisi Ne Haal!

Pucha Kisi Ny Haal Kisi Ka To Ro Diye,
Pani Main Akks Chaand Ka Daikha To Ro Diye,

Naghma Kisi Ny Saaz Py Chera To Ro Diye,
Ghuncha Kisi Ny Shaakh Sy Torra To Ro Diye,

Urta Huwa Ghubar Sar_e_Raah Daikh Kr,
Anjaam Hum Ny Ishq Ka Socha To Ro Diye,

Badal Fiza Main Aap Ki Tasweer Ban Gaye,
Sayaa Koi Khayaal Sy Guzraa To Ro Diye,

Rang_e_Shafaq Sy Aag Shagoofon Main Lag Gaye,
Sagher Humary Hath Sy Chalka To Ro Diye...

Monday, June 4, 2012

Khamosh Fizaa Thi

Khamosh Fizaa Thi Kaheen Saya Bi Nahi Thaa,
Iss Sheher Mei Hum Saa Koi Tanhaa Bi Nahi Thaa.

Kis Jurm Mein Cheeni Gai Mujh Sey Meri Hanssi,
Ham Ne To Kisi Ka DiL Dukhayaa Bi Nahi Thaa.

Hum Jis Ke Hawaley Se Huey Sheher Mei Badnam,
Yaaro Us Shaxs Ko To Hum Ne Kabi RuLayaa Bi Nahi Tha!




Sunday, June 3, 2012

Na Sadaayen Badalti Hen!



Na Sadaayen Badalti Hen
Na Wafaayen Badalti Hen,

Kuch Logon Ki Buss 
Aadaayen Badalti Hen,

Toot Jata He Bana Banaaya 
Aashiyaana Ik Pal Main,

Jab Mosamon Ki Tarhan
Hawaayen Badalti Hen,

Apna Sab Kuch De Dety Hen
Ham Chaahat Main ~YAR~

Najaanay Phir Bhi Kyuun 
Logon Ki Nigahein Badalti Hen.



Saturday, June 2, 2012

Shaam Dhalte Hi!



Saaz-O-Awaaz Khad-O-Khal Mei Aa Jatey Han,
Saans Leta Hun To Sur Taal Mein Aa Jatey Han,

Jang Aur Ishq Ma Haray Hue Logon Ki Tarhan,
Hum Ghanemat Ke Kisi Mal Mei Aa Jatey Han,

Zindagi Khwab Hae Aur Khwab Ki Qeemat Lene,
Jin Ko Aana Ho Kisi Haal Mein Aa Jatey Han,

Tu Bhi Saada Hai Kabhi Chaal Badalta Hi Nahi,
Hum Bhi Danista Teri Chaal Mein Aa Jatey Han,

Shaam Dhaltey Hi Kisi Gosha-E-Weerani Mei,
Hum Parindon Ki Tarhan Jaal Mein Aa Jatey Han.



Aankh Sy Lahoo Na Bahaya Kr!


Aankh Sy Lahoo Na Bahaya Kr,
Aey Dil Usy Kabhi To Bhool Jaya Kr,

Dekhna Wo Ek Din Tujhe Chhor Jaye Ga,
Na Too Usy Itna Sataya Kr,

Itna Aetabaar Bhi Acha Nahin Hota,
Usy Hr Ek Baat Na Bataya Kr,

Shiddat-E-Gham Sy Sina Phat Jaye Ga,
Aankh Sy Kuch Aansoo Bahaya Kr,

Us Jaisa Tujhy Kahin Mil Nahin Sakta,
Hazaar Baar Roothey Hazaar Baar Manaya Kr,

Yahan Muddat Baad Koi Sukh Milta Hy,
Haath Aai Khushi Yun Na Ganvaya Kar.



Thursday, May 31, 2012

Tera Chhor Ke Jaana Yaad Ayaa

Koi Waqt Purana Yaad Aya
Koi Dost Suhaana Yaad Aya

Or Chalk Se Dewaaron Pe
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aya

Tera Milna Neem Ki Chhaon Me
Or Sar Rakh Dena Kaandhe Pe

Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le
Tera Wo Ghabrana Yaad Ayaa

Kabhi Aisa Bhi To Hota Tha
Mai Tujh Ko Chhorne Jaata Tha

Jab Wapas Aane Lagta Tha
Tera Haath Hilana Yaad Aya

Wo Waqt Gaya Lamhay Betey
Ab Har Jaanib Tanhaai Hai

Ab Aik Hai Manzar Aankhon Mei
Tera Chhor Ke Jaana Yaad Aya

TERA CHHOR KE JAANA YAAD AYAA


Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayaal Aata Hai


Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayaal Aata Hai
Ke Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaon Me
Guzarne Paati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi

Ye Ranj o Gham Ki Siyaahi Jo Dil Me Chaai Hai
Teri Nazar Ki Shoaaon Me Kho Bhi Sakti Thi
Magar Ye Ho Na Saka..~!

Magar Ye Ho Na Saka or Ab Ye Aalam Hai
Ke Tu Nhi, Tera Gham, Teri Justujoo Bhi Nhin
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarha Zindagi Jaise

Isey Kisi Ke Sahaare Ki Aarzoo Hi Nhin
Na Koi Raah, Na Manzil, Na Roshni Ka Sorakh
Bhatak Rahi Hai Andheron Me Zindagi Meri

Inhi Andheron Me Reh Jaaonga Kabhi Kho Kar
Mai Jaanta Hoon Meri Hum Nafas
Magar Yoonhi!

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayaal Aata Hai!



Kuch Nishan Umer Ki Raftaar Se Lag Jaate Han


Rogg Aisey Bhi Gham e Yaar Se Lag Jaate Han
Darr Se Uth'tey Han To Dewaar Se Lag Jaate Han

Be Basi Bhi Kabhi Qurbat Ka Sabab Banti Hai
Ro Na Paayen To Galey Yaar Ke Lag Jaate Han

Daagh Daman Ke Hon Dil Ke Ya Chehre Ke Mohsin
Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Se Lag Jaate Han



Friday, May 25, 2012

Ashk Bahane Ki Ijaazat Di Jaaye......!


Paaon Ke Zakhm Dikhaane Ki Ijaazat Di Jaaye
Warna RahGeer Ko Jaane Ki Ijaazat Di Jaaye

Kuch Madawa Hi Nahi Gham Ke Ilawa Gham Ka
Zehr Me Zehr Milaane Ki Ijaazat Di Jaaye

Doghle Pan Ka Hunar Seekh Lia Hai Mai Ne
Ab Mujhe Shehr Me Aane Ki Ijaazat Di Jaaye

Kaar e Dunia Mujhe Majnoo Nahi Banna Lekin
Ishq Me Naam Kamane Ki Ijaazat Di Jaaye

Is Qadar Zabt Meri Jaan Bhi Le Sakta Hai
Kam Se Kam Ashk Bahane Ki Ijaazat Di Jaaye


Wednesday, May 23, 2012

Mera Naam o Nishaan Yaad!

Roodaad e Qafas Yaad, Na Andaaz e Fughan Yaad
Jo Beet Gai, Beet Gai, Ab Wo Kahan Yaad

Tum Bhool Gae Hum Ko To Is Me Kya Taajjub
Is Daur Me Karta Hai Kise, Kaun Kahaan Yaad

Kafi Thi Tabaahi Ke Liye Gardish e Dauraan
Tum Aise Me Kiu Aaye Aey Jaan e Jahan Yaad

Apne Se Raqabat Ka Ye Aalam Hai Ke Tauba
Hum Bhool Gae Khud Ko, Wo Aye Han Jahan Yaad

Maazi Ke Dareeche Se Kabhi Jhaank Ke Dekho
SHAYAD Tumhe Ajae Mera Naam o Nishaan Yaad


Tuesday, May 22, 2012

Dil Chahe Tab Tum Baat Karo...!


Jab Saare Mujh Se Roothe Hon!
Jab Meri Aankhen Bheegi Hon!

Jab Koi Mera Saath Na Dey!
Dil Chahe Tab Tum Baat Karo!

Jab Sub Raaste Dhundley Hon!
Jab Kaale Badal Chhaye Hon!

Jab Koi Apna Haath Na Dey!
Dil Chahe Tab Tum Baat Karo!

Jab Jazbe Qarb Me Doobe Hon!
Jab Dard Ki Shiddat Barh Jaaye!

Jab Tanha Apni Zaat Lagey!
DIL CHAHE TAB TUM BAAT KARO!


Its a very beautiful Ghazal!