Friday, March 8, 2013

Bus Taqseem Howe

Usay Kehhna Jufft or Taaq Ka Hum Se Nahe Wasta Koi
Humen To Jab Bhe Lagi Zarb Lagi, Bus Taqseem Howe


Friday, February 15, 2013

Baarish Ki Boondain!

Dil Fareb Havaaein,
Qaatilana Mousam,
Aor Baarish Ki Boondain!

Andaisha Hay Ke Unhain 
Phir Se Meri Yaad,
Aaai Hogi!!



Wednesday, January 30, 2013

Buss Yaad Aatay Ho!



Subub Jo Dhoondo Gey
To Umarein Beit Jaen Gee

Kaha Na...!
Yaad Aatay Ho!
Tu Buss Yaad Aatay Ho...!



Saturday, July 28, 2012

Oonche Logon Ko!


Kab Wo Sunte Han Ke Hai Kon Duhaai Deta
Oonche Logon Ko Hai Ooncha Hi Sunaai Deta!

Posted in Urdu Poetry

Tum Logg Barey Logg Ho



Waise Hi Tum Ko Wehem Hai Ke Aflaak Nasheen Han
Tum Logg Barey Logg Ho Hum Khaak Nashin Han


Posted in SMS Urdu


Monday, June 18, 2012

Kisi Shaam Zara Zehmat Karna...!




Tum Ko Aata Hi Nahin Shikwa Shikayat Karna
Meri Maano, Tum Kisi Se Na Mohabbat Karna

Ab Ke Bikhra To Mushkil Se Sameto Ge Mujhe
Phir Na Aisi Koi Mujh Sey Shikayat Karna

Zulm Sehney Sey Halaat Na Badlen Ge Kabhi
Ab Zaruri Hai Ameer e Shehr Se Baghawat Karna

Zabaan Jo Khuli To Uljhen Ge Zamaney Waley
Chup Rehna Izhaar Ki Na Himmat Karna

Tum Ne Dekha Hai Mere Ghar Ki Udaasi Ko?
Ho Sakey To Kisi Shaam Zara Zehmat Karna!

Listed in Urdu Ghazal

Kabhi Jo Lamba Safar Hua To!



Wafa Ka Poda Shajar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga
Naseeb Unka Samar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga

Abhi To Phirtay Ho Doston Me, Aziz Koi Judaa Nahi Hai
Koi Idhar Se Udhar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga

Ye Kia Bichharna Ke Shaam Hotey Hi Apney Pyaaron Mei Lot Jana
Kabhai Jo Lamba Safar Hua To Mohabbaton Ka Pata Chaley Ga...!


Find All Posts Listed in Urdu Ghazals

Friday, June 15, 2012

Hyraan Hoon Ke Ye Konsa Dastoor e Wafa Hai


Hyraan Hoon Ke Ye Konsa Dastoor e Wafa Hai
Wo Misal e Rag o Jaan Hai To Kyun Mujh Se Juda Hai

Wo Ahl e Nazar To Nahi Un Ko Khabar Kiya!
Pehloo Mei Un Ke Koi Zamaney Se Khara Hai

Likha Hai Mera Naam Samandar Pe Hawa Ne
Aor Dono Ki Fitrat Me Sakoon Hai Na Wafa Hai

Uth'ti Hai Jo Pehloo Se Mere Dard Ki Lehrain
Be Taab Samandar Koi Seene Mei Daba Hai

Aey Zeest Ke Marhale Se Guzarte Huwe Lamho!
Socha Hai Kabhi Tum Ne Bichharna To Sazaa Hai


Aisa Ho Nahi Sakta!



Zamaney Mei Bhi Dhoondo Ge To Hum Sa Ho Nahi Sakta
Hum To Sada Usey Hi Chahte Han Jo Apna Ho Nahi Sakta


Bohot Ujra Hua Dil Hai Magar Apna To Aqeeda Hai
Ke Jahan Mehkein Teri Yaadein Wo Sehra Ho Nahi Sakta


Kisi Ki Yaad Ab Tak Mere Bistar Mei Soti Hai
Shab e Tanhaai Se Keh Do Ke Mai Tanha Ho Nahi Sakta


Kuchh To Apni Bhi Khataayen Thi Wabaal e Zindagi Mei
Sabhi Kuch To Muqaddar Ka Likha Ho Nahi Sakta


Juda Ho Gaye Or Dono Hi Jeete Han
Kabhi Dono Hi Kehtey They Ke Aisa Ho Nahi Sakta




Wednesday, June 13, 2012

Us Ko Bhool Jaaon Main!

Salook e Narawa Ka Iss Lye Shikwa Nahi Karta
Ke Mai Bhi To Kisi Ki Baat Ki Parwaa Nahi Karta


Bohot Chalaak Hun Apni Larai Aap Larta Hun
Mai Dil Ki Baat Kabhi Deewar Pe Likha Nahi Karta


Agar Parr Jaaye Aadat Apney Saath Rehney Ki
To Ye Aisa Saath Hai Ke Phir Kabhi Tanha Nahi Karta


Zameen Pairon Se Kitni Baar Hi Din Me Nikalti Hai
Mai Aisey Haadson Pe Dil Kabhi Chhota Nahi Karta


Uska Israar Aankhon Par Ke Us Ko Bhool Jaaon Main
Mai Koshish Kar Ke Dekhon Ga Magar Waada Nahi Karta!